logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - kazmi brothers - 2024

Baba Ki Wasiyat

ekkis ki shab aakhri saanson ka hai qissa
Aulad ko hasrat se Ali (A) Mola ne dekha
Dil phatne laga dekha jo Zainab (A) ne yeh giriya
Mola (A) ne tadapte hue Ghazi ko pukara
Bole ke ae Abbas (A) bhale jaan lutana
Yeh hukm mera aakhri dam tak na bhulana

Baba ki wasiyat hai isey dil mein basa le
Ghazi (A) meri Zainab (A) ki rida tere hawale

Abbas (A) tum ab uski rida ban ke dikhana
Kurte tere jisne hain badi der sambhale

Zainab (A) ke kabhi naqsh-e-qadam dekho to Ghazi (A)
Sooraj se bhi kehna ke nazar apni hata le

Shabir (A) se Zainab (A) ko bichadne nahi dena
Zahra (A) ne yeh dono hain bade naaz se paale

Zainab (A) ne suna ro ke kaha Baba ne Ghazi (A)
Zanjeer na Zainab (A) ke koi haath mein daale

Zainab (A) ne kaha Baba mere Ghazi (A) ke hote
Jurat hai kisse ko koi mujhe qaidi bana le

Mola (A) ne kaha waqt badal jaate hain beti
Ehsaas nahi karte kabhi lautne waale

Ghazi (A) ne kaha jun main tab tak hoon muhafiz
Jab tak yeh mere bazu koi kaat na daale

HomebookmarkmybayaazSetting